Fr end

 Na jane kyu mujhe ye lag raha tha ki mein kisi sajis ka shikar ho raha tha

Lekin mein apne man ko tasalli de raha tha ki esa kuch nhi hoga
Shyad ye mera bharosa tha ya mera vishwas kuch samajh nhi aa raha tha
Lekin us saq ne , is vishwas ke dayare ki seema ko yu laangha mano, jese ki mera vishwas ek dhoka tha or
Or vo vishwas ghat kiye jaa raha tha.
Mein us se kuch sikhna chahta tha or
Vo mere se kuch sikh gya tha
Vo sikh gya tha ki kese kisi vishwasi ke vishwas ka fayda uthaya jata hai.
Kese kisiko baato baato me fasaya jaata hai.
Hum to dundh rahe the dost banane ke bahane lekin usne ye bata diya ki kese dosto ko fame ke liye apnaya jata hai.
Kyu uski baato se lgta h mujhe ki vo sirf apni hi sunta h kyu vo logo k dilo me apne khyaal boonta h
Chahiye usko sab apne paks me tabhi to vipaks ko choonta h.
Usko laagta h shayad in 🐦 pakshio ko lada kr vo vipakshi bana lega.
Lekin pata nhi vo ye kyu karta h.
Agar sach me usko ho un ghooslo ki chinta to vo un pakshiyo 🐦 ko na ladata
Or apne man ki baat doosro se na bolwata
-------------------
Mein tumhe nhi samajh paa raha hu ki tum kon ho, kya ho, kese ho, shyad tum jese dikhte ho vese nhi ho.
Mein ye nhi samajh paa raha hu ki tum achha banane ki koshish kar rahe ho ya bura πŸ‘Ž banane ki.
Kyuki kabhi tumhara apnatav mujhe sachha lagta he. Or kabhi esa lagta h mano koi fareb ka parda ho.
Raaj abhi tk ye hi he ki "kya vo jhoot tha ya ye jhoot he" .

Now point is that , how you point a finger at me.