Anty So Sial

Ye jahan kho raha h, kho raha is digital duniya me. Digital duniya matlab ki aane vali new technology me. 

Yaha kisi ko kisi se kuch matlab nhi he
Sabko apni apni digital profile ki padi hai. Koi likes ke liye jee raha hai to koi followers ke liye. Friend bhi sabko ab digital hi chahiye. Jo time to time like,comment or share karta rahe.
Kuch esa ho raha he ki maano digital duniya ke bahar logo ka koi astitav hi nahi h
Shyad ye digital transformation bachho ki nazar ke sath sath unka dekhne ka nazariya bhi badal raha he.
Kuch had tk ye sahi hai ki aap naye zamaane ke sath chalo. Technology ka use karo lekin usi me kho jana , usi ko apna mai baap maan lena galat hai.
Log pehle apna photo 📷 lete the taki un palo ko kisi tasweer me sahej sake or jab us tasweer ko dekhe to un palo ko jee sake.
Lekin aaj kal log unke kimti palo ko enjoy karne ki bajaye mobile me palo ko sahejna chahte he.
Us pal jo ho raha he uska aanand lene ki bajaye usko record krna kaha tk sahi h
Are bhai record kar bhi liya to kya???
Jab wapas us ko dekhoge to us enjoy me tum najar nhi aaoge or sirf sochte rah jaoge ki me to video le raha tha. Enjoy krna to bhul gya.