Posts

Showing posts from 2021

Fr end

 Na jane kyu mujhe ye lag raha tha ki mein kisi sajis ka shikar ho raha tha Lekin mein apne man ko tasalli de raha tha ki esa kuch nhi hoga Shyad ye mera bharosa tha ya mera vishwas kuch samajh nhi aa raha tha Lekin us saq ne , is vishwas ke dayare ki seema ko yu laangha mano, jese ki mera vishwas ek dhoka tha or Or vo vishwas ghat kiye jaa raha tha. Mein us se kuch sikhna chahta tha or Vo mere se kuch sikh gya tha Vo sikh gya tha ki kese kisi vishwasi ke vishwas ka fayda uthaya jata hai. Kese kisiko baato baato me fasaya jaata hai. Hum to dundh rahe the dost banane ke bahane lekin usne ye bata diya ki kese dosto ko fame ke liye apnaya jata hai. Kyu uski baato se lgta h mujhe ki vo sirf apni hi sunta h kyu vo logo k dilo me apne khyaal boonta h Chahiye usko sab apne paks me tabhi to vipaks ko choonta h. Usko laagta h shayad in 🐦 pakshio ko lada kr vo vipakshi bana lega. Lekin pata nhi vo ye kyu karta h. Agar sach me usko ho un ghooslo ki chinta to vo un pakshiyo 🐦 ko na

Anty So Sial

Ye jahan kho raha h, kho raha is digital duniya me. Digital duniya matlab ki aane vali new technology me.  Yaha kisi ko kisi se kuch matlab nhi he Sabko apni apni digital profile ki padi hai. Koi likes ke liye jee raha hai to koi followers ke liye. Friend bhi sabko ab digital hi chahiye. Jo time to time like,comment or share karta rahe. Kuch esa ho raha he ki maano digital duniya ke bahar logo ka koi astitav hi nahi h Shyad ye digital transformation bachho ki nazar ke sath sath unka dekhne ka nazariya bhi badal raha he. Kuch had tk ye sahi hai ki aap naye zamaane ke sath chalo. Technology ka use karo lekin usi me kho jana , usi ko apna mai baap maan lena galat hai. Log pehle apna photo 📷 lete the taki un palo ko kisi tasweer me sahej sake or jab us tasweer ko dekhe to un palo ko jee sake. Lekin aaj kal log unke kimti palo ko enjoy karne ki bajaye mobile me palo ko sahejna chahte he. Us pal jo ho raha he uska aanand lene ki bajaye usko record krna kaha tk sahi h Are bhai recor